Tuesday, 2 August 2016

Jaati, Niwas & Aay Certificate ka Online Apply kaise kare

Hii..friends...



           Dosto humare dainik jeewan me aaise bahut se times aate hain jab aapko Jaati ,Niwas ,Aay etc. Certificates Ki jarurat parti hai.
Aur aapko kai dino tak 'Block/Prakhand' me chakkar lagana parta hai.


               To isi se chhutkara pane ke liye mai aapko ye trick batane ja raha hu..


                 Aaj mai aapko batane ja raha hu Ki kaise aap online Jaati(caste),Aawasiye /Niwas(Domicile), Aur Aay(Income) Certificate Apply kar sakte hain.

Ye bhi padhe:-
1-mobile-me-2-2-whatsapp facebook twitter etc. Chalaye

facebook-fb-account-banane-ka-sabse aasan tarika Hinglish me 

Mx-player-se-kisi-bhi-video-ko-chalayen Aasani se  

1-android-phone-me-2-facebook-chalayen  






                  To mai aapka samay waist na karte hue sidhe apne point par aata hu aur aapko iske bare me batata hu.

Note:-         Aap isko aapne PC/Laptop/Android phone se apply kar sakte hain. But agar aap Android phone se apply kar rahe hain to aapke paas Ek Achha Android phone hona chahiye.


Step-1.     Sabse pehle aap Google me RTPS likhkar search kare .RTPS ka full form Right To Public Services(Lok sewaon ka Adhikar) hota hai.


Step-2.       Ab aapke samne sabse upar ke options me se RTPS ka option chune.


Step-3.       Ab aap Aawedan kahan se prapt karna chahte hain wo chune. Aap "Block " chun Len.


Step-4.        Ab ek naya page open hoga jisme aapko : -
 1.Apna Name English me bhare.
 2.Apna Name Hindi me bhare, aap isme English me likhenge to wo apne aap Hindi me badal jayega.
 3.Apna Certificate chune, Yani Jaati/Niwas/Aay chune.
4.Ab apna Mobile No. Dale.


Step-5.   Aur Next par click kar den ab aapke us No.par ek Verification Code Jayega.

Step-6.   Ab naye page par vaification code dalkar verify code par click Karen .Jaisa Ki aap Screen shot me dekh sakte hain.



Step-7.   Agle page par aap apni sari details sahi sahi bhare. Jo aap screen shots me dekh sakte hain.




                Is Form me aapko Father's name, Long,Pramandal,Jila,Anumandal,Prakhand,Village, Panchayat,Post,Thana,vyavsay,Varg (SC/ST/OBC),Upjati(sub-cast) etc. Sabkuch sahi sahi bharen.


                Form ko pura sahi sahi bharne ke baad aap NEXT par click kar den. Tab aapke samne ek confirmation form(Swam sapath patra) aayega use fir se check kar Len Ki sahi bhara hua hai na aur uske baad  "I AGREE " pe tick karke "SUBMIT" Botton par click kar den.Next page pe aapko aapka Receiving mil jayega. aap us receiving ka print kar ke rakh Len.


              Isi receiving ko lekar aap 10-11 Din ke baad Block me jayen Aur wahan se Apna  Praman patra(Certificate) lekar aaye .



Note:-      Dosto ye sab process Maine khud par kiya hai isliye Maine apna him pura details is screen shots me diya hai.

               To dosto aapko kaisi lagi hamari ye post ,aap mujhe jarur bataye . Aur yadi aapko is post se related koi bhi sawal ho ya aapko nahi samajh me aa raha ho to aap mujhe comment karke jarur batayen mai yatha sambhav aapki help karunga .



                  Thanks for reading this article.....








   

Popular Posts

Recent Posts

Unordered List

Text Widget

Powered by Blogger.